Patchad tha mosam ka bus wahi patchad teh umar reh gaya dil se koshish ki nibaane ki panna zindagi ka imtihaano mai beh gaya ab naa umid bachi, naa lakiro pe aitbaar hai bus hai ek safar jispe chalte rehna hai naa khawabo ki moj hai, naa badhte kadmo se pyar hai. Dharkein royi itna.. ki palko ki nami tak khafaa hogai socha tha dil toh mera apna hai par dil ki ahatien tak bewafa hogai naa badalte hue sama hai, naa ab koi intzaar hai bus khamoshi door door khiche mujhe naa khawabo ki moj hai, naa badhte kadmo se pyaar hai. Sukhe patte bhi udh kar apni manzilo ki talaash pe chale jate hain khawabo ke jab taar bhikarte hain apne bhi praaye nazar aate hain naa rab sunta meri, naa apni ibaadato pe aitbaar hai yuhi udhte chale jaaten hain idhar se udhar naa khawabo ki moj hai, naa badhte kadmo se pyaar hai...!!